Monday 3 February 2014

Aankhon main Sitare to Kai Sham se Utray


shab-e-hijar main soya kaisa


Dil Munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot k roya kaisa???????????

Zindagi mein bhi ghazal hi ka kareena rakha!!!
Khawaab dar khawab tere gham ko piroya kaisa????

Ab to chehron pay bhi katb’on ka ghumaan hota hai………..
Aankhain patthar’ae hui hain lab-e-goya kaisa???

Dekh ab qarb ka mausam bhi na sar sabz lage!!!
Hijar he hijr mar’aasim main samoya kaisa???

Aik aansoo tha k dariya-e-nidaamat tha FARAZ!!!
Dil se baibaak shanawar ko daboya kaisa???

Ye Meri Gazlen Ye Meri Nazmain Tamam Teri Hikayaten Hain


ye meri gazlen ye meri nazmain tamam teri hikayaten hain
ye tazkary teri lutf k hain ye sher teri shikayaten hain

main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki s'aten hain
jo zindagi k naye safar main tujhe kisi roz yad ayen

to ek ek harf ji uthega pahan k anfas ki qabayen
udas tanahaiyon k lamhon main nach uthengi ye apasarayen

mujhe teri dard k alava bhi aur dukh the, ye janta hun
hazar gam the jo zindagi ki talash main the, ye janta hun

mujhe khabar hai ki teri anchal main dard ki ret chanta hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai

ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai

aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain jo kal mere the vo ab tere hain

jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain
vo tera shayar tera muganni vo jis ki baten ajib si thi

vo jis k andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
vo jis k jine ki khvahishen bhi khud us k apne nasib si thin

na puch us ka ki vo divana bahut dinon ka ujar chuka hai
vo kohakan to nahin tha lekin kari chattanon se lar chuka hai
vo thak chuka hai aur us ka tesha usi k sehan main gar chuka hai

Zakhm Ko Phul To Sar Sar Ko Saba Kahte Hain


zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

Ye Kya K Sab Se Bayan Dil Ki Halaten Karni


ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni
'Faraz' tujh ko na ain muhabbaten karani

ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain
shumar abhi se judai ki sa'aten karani

koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
tamam umr usi ki ibadaten karni

sab apne apne qarine se muntazir us k
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani

ham apne dil se hain majabur aur logon ko
zara si bat pe barpa qayamaten karani

milen jab un se to mubaham si guftagu karna
phir apne ap se sau-sau vazahaten karani

ye log kaise magar dushmani nibhaten hain
hamin ko ras na ain muhabbaten karani

kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
kabhi talash purani raqabaten karani

Us Ne Sukuut-E-Shab Main Bhii Apanaa Payaam Rakh Diyaa


us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii
main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe
main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe
ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa

Mein mar mita to woh samjhay yeh inteha thi meri


Mein mar mita to woh samjhay yeh inteha thi meri
Isay khabar hi na thi, khak e kimya thi meri

Mein chup hua to woh samjha keh baat khatam huyi
Phir is kay baad to aawaz ja-baja thi meri

Jo taana zan tha meri poshish e daridah par
Isi kay dosh peh rakhi huyi qaba thi meri

Mein is ko yaad karon bhi to yaad aata nahi
Mein is ko bhool gia hon, yahi saza thi meri

Shikast day gia apna gharoor hi is ko
Wgarna is kay moqabil basat kia thi meri

Kahin dimagh kahin Dil kahin badan hi badan
Har ik say dosti yari juda juda thi meri

Koi bhi khoye Muhabbat say phir nahi guzra
Tu shehar ishq mein kia aakhri sada thi meri?

Jo ab ghamand say sar ko uthaye phirta hai
Isi tarah ki tu makhlooq khak e pathi meri

Har aik sher na tha darkhor e qasidah dost
Aur is say taba e rawan khoob aashna thi meri

Mein us ko dekhta rehta tha hairaton say Faraz
Yeh zindagi say taaruf ki ibtada thi meri