Monday 3 February 2014

Dukh Afsana nai

 
"Dukh afasana nahin k tujh se kahain
Dil bhi mana nahin k tujh se kahain

Aaj tak apni be-kali kaa sababb....
Khud bhi jana nahin k tujh se kahain

Bay tarah haal-e-dil hay aur tujh se
Doostana nahin k tujh se kahain

Aik too hurf aashna tha magar
Abb zamana nahin k tujh se kahain

Qasid, hum faqeer logoon kaa
Ek thikana nahin k tujh se kahain

Aye Khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-doost
Aab-0-danaa nahin k tujh se kahain

Abb tou apna bhi uss gali main Faraz
Aana jana nahin k tujh se kahain"

No comments:

Post a Comment