Monday, 3 February 2014

Mein mar mita to woh samjhay yeh inteha thi meri


Mein mar mita to woh samjhay yeh inteha thi meri
Isay khabar hi na thi, khak e kimya thi meri

Mein chup hua to woh samjha keh baat khatam huyi
Phir is kay baad to aawaz ja-baja thi meri

Jo taana zan tha meri poshish e daridah par
Isi kay dosh peh rakhi huyi qaba thi meri

Mein is ko yaad karon bhi to yaad aata nahi
Mein is ko bhool gia hon, yahi saza thi meri

Shikast day gia apna gharoor hi is ko
Wgarna is kay moqabil basat kia thi meri

Kahin dimagh kahin Dil kahin badan hi badan
Har ik say dosti yari juda juda thi meri

Koi bhi khoye Muhabbat say phir nahi guzra
Tu shehar ishq mein kia aakhri sada thi meri?

Jo ab ghamand say sar ko uthaye phirta hai
Isi tarah ki tu makhlooq khak e pathi meri

Har aik sher na tha darkhor e qasidah dost
Aur is say taba e rawan khoob aashna thi meri

Mein us ko dekhta rehta tha hairaton say Faraz
Yeh zindagi say taaruf ki ibtada thi meri

No comments:

Post a Comment