Monday, 3 February 2014

Ye Meri Gazlen Ye Meri Nazmain Tamam Teri Hikayaten Hain


ye meri gazlen ye meri nazmain tamam teri hikayaten hain
ye tazkary teri lutf k hain ye sher teri shikayaten hain

main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki s'aten hain
jo zindagi k naye safar main tujhe kisi roz yad ayen

to ek ek harf ji uthega pahan k anfas ki qabayen
udas tanahaiyon k lamhon main nach uthengi ye apasarayen

mujhe teri dard k alava bhi aur dukh the, ye janta hun
hazar gam the jo zindagi ki talash main the, ye janta hun

mujhe khabar hai ki teri anchal main dard ki ret chanta hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai

ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai

aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain jo kal mere the vo ab tere hain

jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain
vo tera shayar tera muganni vo jis ki baten ajib si thi

vo jis k andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
vo jis k jine ki khvahishen bhi khud us k apne nasib si thin

na puch us ka ki vo divana bahut dinon ka ujar chuka hai
vo kohakan to nahin tha lekin kari chattanon se lar chuka hai
vo thak chuka hai aur us ka tesha usi k sehan main gar chuka hai

No comments:

Post a Comment